SDI Info
AssalamuÀlaikum
Tahaarat ka Bayan
*Wudhu ke Mustahabbat*
11)Saahibe Ùzr (jisey wudhu deyr tak qaayem rakhney me takleef ho) na ho to (Namaz ke shurù) waqt se pehle Wudhu karna.
12)Itminaan se Wudhu karna.
13)Kapdo ko tapaktey qatro se mehfuz rakhna.
14)Paaoñ ko baayeiñ haath se dhona.
15)Dono haatho se muñh dhona.
16)Kalimey ki uñgli ke peyt se kaan ke androni hissey ka masah karna.
17)Añgothey ke peyt se kaan ke pichhey ke hissey ka masah karna.
18)Zaban se wudhu ki niyyat karna.
19)Har hissey ko dhotey waqt wudhu ki niyyat ka haazir rehna.
20)Wudhu ke bàd kalima e Shahadat pardhna.
21)Bacha huwa paani khadey ho kar thoda pee lena.
22)Wudhu ke bàd aaza e wudhu ko bilkul khushk na karna balke thoda geela rehne dena.
(Bahar e Shariàt)
Subhanallah
ReplyDelete